Mera pura chehra garam hone laga use dekh ke. Wo ladki rahi hogi 28 29 saal ki, height mujhse thodi kam, kandhe tak bhure baal, aur hari ankhen. Achi shape me thi, aur uske frame ke hisab se ache boob aur hips the. Uske paas se ek friendliness ka sense aa raha tha. Aur main is tention me tha ki isne suna kya kya.
“I’m sorry, tumhe chaukane ke liye.”
“….Uh-hh. Thoda sa. But it’s okay.”
“Main Nina,” apna hath badhate hue usne kaha.
Main 2 second to bevkoofo ki tarah dekhta rha ki akhir karna kya hai. Fir hath aage badhaya. Grip kafi majboot thi uski, lekin mere paas kehne ko kuch tha nahi, to meri anxiety badhti gayi. Lekin wo bhi mujhe kisi judgement wali najro se nahi dekh rahi thi haan lekin observe jarur kar rahi thi.
“To kya main tumhara naam jan sakti hun?”
“Uh….oh,, sorry. Main Vivesh.”
“Oh, nice to meet you, Vivesh.”
“Same here,” mere man se pehle ke sare thoughts choomantar ho rahe the.
“Main is tarike se sun nahi rahi thi, to be clear. Aise chhup ke logo ki baatein sunana meri adat nahi hai khaskar un logo ki jo khud se baat kar rahe hon. Lekin tum kafi pareshan lag rahe ho kisi chiz se.”
“Main…haan, bas…soch raha tha.”
“Kisi kadwe sach ke bare me?”
Maine haan me sir hila diya, aur uske attractive chehre se najre hata ke niche pani me dekhne laga.
“Pata hai agar sare kadwe sach ek sath jindagi me utar jaye to jindagi jine ka maja nahi reh jata.”
“Heh. Hmmm.”
“Hmmm,” wo bhi pani me dekhte hue boli fir kuch sochkar kehne lagi. “Main jab chhoti thi to ache dimag ko mangti thi bhagwan se.”
“…To mila kya?”
“Haan, bilkul. Aisi mangein bahut jaldi puri hoti hain. Bas bhagwan ye dekhte hain ki hum un gifts ka use kaise karte hain.”
“Acha?”
“Kadwe sach, for example. Dimag tumhe pehle to kadwe sach dikhayega fir ye bhi samajh me aayega ki unhe accept kaise karna hai.”
“Makes sense.”
“Haan, lekin ek point hai, ek baar jab tumne us kadwe sach ko dekh liya to, tum usse bach nahi sakte. Samajh rahe ho na?”
“Haan. Ek baar jo kadwe sach ko jan liya to usse fir deal karna hi padta hai.”
Usne bhi haan me sir hila diya aur aise hi dur pani me dekhte rahi.
“Tum yahi se ho?” usne kuch der baad pucha.
“Nahi.” maine jawab diya. “I guess tum pakka yahi se ho?”
“Haan, jaldi me yahi se.”
“Abhi shift hui ho?”
“Ek saal ho gaya. I guess log hamare bare me sahi kehte hain. Hum log kahin ek jagah nahi tikte.”
“Kya?”
“Oh sorry, jahan se main aayin hun waha kahawat hai ki hum logo ke pair ek jagah tik nahi sakte, lekin ek baat hamesha sath rahegi, hamare sheher ke pados me bhi nadi hai. To sabhi kehte hain ki jab tak hum log pani ke kinare rahenge sab kuch sahi rahega bas hum us pani ki tarah hi ek jagah se dusri jagah behte rahenge.”
“To tabhi tum yahan aayi?”
“…Not exactly. Main bas kuch dino ke liye aayi thi. Ab dekho jindagi kahan le jaye.”
“…Oh. Soo, main bas curious tha ki tum aise pul par sham ko in kitabo ke sath kya kar rahi ho. Tumhe to kisi club me hona chahiye, party and all that.”
Wo ye sunkar bas halke se has di.
“Main bas keh rha tha.”
“Actually main bars jati hun, lekin logo ko sikhane ke liye. Because I am christian and I am a minister. Minister wo jo church me kaam karte hain. To meri philosophy hai ki duniya me har koi bhagwan ka banda hai, lekin kuch log bhul jate hain ye baat. To main jati hun… ye dekhne ki unhe meri jarurat hai ki nahi.”
“To tum sidhe preach karne ke liye bars me jati ho?”
“Kabhi kabhi.”
“Bible ke sath?”
“Iske khilab koi law nahi hai. Main bas logo se muskurakar baat kar leti hun, thoda pool khel liya kabhi kabhi, bas.”
“O-kay. To log..matlab you know?”
“Jyadatar log ache se pesh aate hain. Unme se kuch logo ko main dost ka darja bhi de sakti hun. Tum bade surprise hoge ye jankar ki kitne log mujh jaise logo se milne ke liye tarsate rehte hain, jo unki problems solve nahi to atleast sun to sake. Bas unhe is baat ka pata nahi hai.”
“Well, that’s amazing.” Maine dil se kaha.
Wo halke se muskura di. “Mujhe kafi achha lagta hai ye karne me.”