Mai bola “sach me aisi koi bat nahi hai. Do din se meri nind puri nahi ho pa rahi hai. Isliye aapko aisa lag raha hoga.”
Ajay ki parkhi najar samajh gayi thi ki, mujhe koi gam hai. Lekin mai apna gam use batana nahi chahta hu. Usne mujhse kaha.
Ajay bola “babu sahab, ho sakta hai ki aap sahi bol rahe ho. Lekin aapka chehra kuch aur hi bol raha hai. Acha to yahi hoga ki, aap apne doston ke aane ke pahle apna chehra sahi kar le. Nahi to meri tarah wo bhi aap se yahi sawal karege.”
Mujhe ajay ki bat sahi lagi. Mai uth kar andar muh hanth dhone chala gaya. Jab mai muh hanth dhokar bahar nikla to, ajay coffee liye mera intejar kar raha tha. Mai uske pas pahucha to usne mujhe coffee di. Maine us se coffee lete huye kaha.
Mai bola “kya hua. Aap abhi tak yahi khade huye hai. Kya aaj aapko koi sawari nahi mil rahi hai.”
Ajay bola “sawari ka kya hai babu sahab. Ek gayi to dusri mil jayegi. Lekin sahi bat ye hai ki aapko aise me chhod kar jane ka mera dil hi nahi kiya.”
Mai bola “are mujhe sach me kuch nahi hua. Aap bekar me paresan mat hoiye.”
Ajay bola “babu sahab, mai bhi is daur se gujar chuka hu. Isliye janta hu ki, aapko kis bat ka gam hai. Aap bhale mujhe dost nahi mante, magar mai to aapko dost manta hu. Fir bhala aapko kaise akela chhod kar ja sakta hu.”
Mujhe ajay ki ye sab baten achi lag rahi thi. Fir bhi mai use apne dil ka haal nahi bata sakta tha. Maine apni bat se uska dhyan hatane ke liye us se kaha.
Mai bola “aap bhi ajib bat karte ho. Ek taraf to mujhe apna dost samajhte ho, aur dusri taraf mujhe babu sahab kahte ho. Mujhe aapki dosti ka ye raaj kuch samajh me nahi aaya.”
Ajay bola “mai to aapko dost samajhta hu. Lekin jab aap hi mujhe dost nahi samajhte to fir bhala mai aapko aapke naam se kaise bula sakta hu.”
Mai bola “aisi bat nahi hai ajay bhai. Yadi mai aapko apna dost nahi samajhta hota to, fir aapse itni baten karta hi kyo. Acha yahi hoga ki ab aap mujhe babu sahab ki jagah punnu hi kahe.”
Ajay bola “tab aap bhi mujhe sirf ajji hi kahiye. Dosti me ye aap vaap acha nahi lagta.”
Mai bola “ok ajji. Kya tum mera ek kaam karoge.”
ajay bola “ek kya sau kaam bolo bhai. Dosti ke liye to ye jaan bhi hajir hai.”
Mai bola “mujhe aaj rukne ke liye kisi hotel me ek kamra chahiye. Lekin mere pas koi saman nahi hai. Isliye bina saman ke mujhe kisi hotel me kamra milne me bahut paresani hogi.”
Ajay bola “lekin tum to apne dost ke ghar ruke huye ho. Fir tumhe hotel me rukne ki kya jarurat hai.”
Mai bola “ye mat puchho. Tum yadi kar sakte ho to bas aaj ke liye mera ye kaam kar do.”
Ajay bola “yadi aisi bat hai to tum, mere ghar me ruk sakte ho.”
Mai bola “nahi, yadi mujhe ghar me hi rukna hota to, fir mere dost ke ghar me koi burai nahi thi. Mai aaj akela rahna chahta hu.”
Ajay shayad meri bat ka matlab samajh chuka tha. Us ne mujhse kaha.
Ajay bola “mera ghar kisi hotel se kam nahi hai. Tumhe waha koi paresani nahi hogi. Kyoki waha mere siwa aur koi nahi hai. Tum waha chahe jaise rah sakte ho. Isi bahane tum mera ghar bhi dekh loge.’
Jab ajay nahi maana to mujhe uski bat manna hi padi. Maine use uske ghar jane ke liye han kah diya. Iske bad meri us se idhar udhar ki bat hoti rahi. Is bich uske pas kayi sawari aayi magar us ne sabhi sawari ko le jane se mana kar diya. Shayad wo mujhe akela chhodna nahi chahta tha.
Fir 7 baje mehul aa gaya. Meri mehul se thodi bahut uncle ko lekar baten huyi. Uske bad maine mehul ka ajay se parichay karaya aur us se kaha ki, aaj mai din bhar ajay ke sath hi rahuga. Isliye aaj mera raj ke ghar jana nahi ho payega. Tum raj ko aur uske ghar walon ko ye bat bata dena. Ho sakta hai ki din me mera mobile bhi band rahe. Isliye yadi ghar se koi phone aaye to use bhi tum sambhal lena.