Ab wo mera diya hua salwar suit pahan kar aayi thi. Uske gora rang blue suit me or bhi jyada nikhar gaya tha aur wo ab pahle se bhi jyada sundar dikh rahi thi. Maine use dekha to, apalak use dekhta hi rah gaya. Mujhe is tarah khoya dekh kar usne mujhe tokte huye kaha.
Keerti boli “ab fir mat kah dena ki, mai bahut sundar lag rahi hu.”
Mai bola “lekin sach to yahi hai ki, ab tu pahle se bhi sundar aur sexy lag rahi hai.”
Meri baat sunkar, keerti muskurane lagi aur fir mera hath khich kar kahne lagi.
Keerti boli “meri bahut tarif ho gayi. Ab chalo bhi, warna kahi aisa na ho ki, ami nimi ka irada badal jaye aur wo bhi humare sath chalne ke liye piche pad jaye.”
Maine kuch na kaha aur chuchap uske sath niche aa gaya. Niche aakar maine chhoti maa se keerti ke sath, bajar tak jane ki baat batayi aur fir mai bahar aakar apni bike nikalne laga. Tab tak keerti bhi bahar aa gayi aur fir hum dono millennium park jane ke liye nikal pade.
Kuch hi der me hum park ke andar the. Park me ladke ladkiyon ke bahut se jode the. Magar kisi bhi jode ki najar, kisi dusre jode par nahi thi. Sabhi jode apne apne me mast the.
Fir hum ne ek achhi si jagah dekhi. Jaha bhid bhad kuch kam thi aur khuli jagah thi. Hum dono waha jakar ek bench par baith gaye. Kuch der ki khamoshi ke bad keerti ne mujhse kaha.
Keerti boli “chalo, ab jaldi se apne ek tarfa pyar ki kahani sunana suru karo.”
Mai bola “ye baat muskil se 6 mahine pahle ki hai. Jab Shilpa nayi nayi school me aayi thi. Wo itni sundar thi ki, school ka har ladka uske aas pas mandrata rahta tha. Magar wo kisi bhi ladke par dhyan nahi deti thi aur yadi koi ladka use jyada pareshan karta ya fir usko love letter deta to, wo use sabak jarur sikhati thi. Isi vajah se mai use kabhi propose karne ki himmat na dikha saka aur meri love story suru hone ke pahle hi khatam ho gayi.”
Keerti boli “ye sach ho sakta hai. Magar na jane kyo, mera dil ise manne ko taiyar nahi hai. Mujhe apna dost samajh kar sach sach batao. Mai sach ko jane bina yaha se nahi jaugi.”
Mai bola “sach to yahi, magar iske sath ek sach or juda hua hai. Wo sach ye hai ki, mai shilpa se man hi man me bahut pyar karne laga tha. Mai use chhup chhup kar dekhta aur jab kabhi wo najar nahi aati to, mera dil bechain ho jata tha.”
“Us samay mehul chhutti par chal raha tha. Isliye wo is baat se puri tarah se anjan tha. Jab mehul aaya to mai apne dil ka haal use batana chahta tha. Magar kaise batau ye samajh nahi pa raha tha.”
“Yun hi kuch din beete aur fir ek din mehul ne kaha ki, use ek ladki se pyar ho gaya hai. Maine jab us se us ladki ke baare me puchha to, usne shilpa ka naam liya aur bola ki, wo shadi karega to, sirf shilpa se karega, nahi to jindgi bhar shadi nahi karega.”
Mai abhi apni baat bata hi raha tha ki, tabhi keerti ne meri baat ko, bich me hi katte huye kaha.
Keerti boli “tune tabhi mehul ko apne pyar ki baat kyo nahi bata di.”
Mai bola “wo isliye, kyoki maine jab mehul ke muh se shilpa ka naam suna. Tab mai bhi isi soch me pad gaya tha ki, mujhe mehul ko apne pyar ki baat batani chahiye ya nahi batani chahiye. Tab mere man se aawaj aayi ki, jo ladki tere baare me kuch bhi nahi janti. Kahi tu us ladki se apne ektarfa pyar ke baare me bata kar, apne dost ki khushiyon ko hamesha ke liye na mita de. Bas isliye maine mehul ko is baare me kabhi kuch nahi bataya.”
Keerti boli “fir iske bad kya hua.”
Keerti ki baat sunkar, maine hanste huye kaha.
Mai bola “hona kya tha, shilpa ko lekar, jo haalat pahle meri thi, bad me wo hi haalat mehul ki ho gayi. Fark sirf itna tha ki, meri haalat ke baare me mere siwa koi bhi nahi janta tha. Jabki mehul ki haalat ko mai janta tha. Jab mujse uska yu pareshan rahna nahi dekha gaya. Tab maine hi usko apni class badalne ki bat kahi aur usne apni class badal li.”