Ek pal ke liye mere dil ki dhadkne bahut hi jyada tej ho gayi aur mai apne aapko sambhalne ki kosis karne laga. Wo mere pas aayi to, mai use kuch bolne ko hua. Magar keerti ne meri baat ko bich me hi katte huye kaha.
Keerti boli “ab fir se ye mat kahne lagna ki, mai bahut sundar lag rahi hu. Subah se hajar baar tere muh se ye baat sun chuki hu.”
Mai bola “mai bolna to yahi chahta tha ki, tu bahut sundar lag rahi hai. Lekin tune mana kar diya to, chal nahi bolta hu ki, tu bahut sundar lag rahi hai.”
Meri baat ko sunkar, keerti ne khilkhila kar hanste huye kaha.
Keerti boli “isi bahane se, bol to diya tumne aur kaise bolna chahte ho. Kya tum ise bole bina nahi rah sakte.”
Mai bola “chal ab nahi boluga. Ab tu ye bata ki, khana khane kaha chalna hai.”
Keerti boli “jara ruko, abhi nitika ka phone aaya tha. Wo log bhi bahar hi khana khane wale hai. Usne bola hai ki, wo kuch der me raj aur riya se bat karke batati hai.”
Raj ka naam sunte hi mere man me aag lag gayi. Mera saara mood kharab ho gaya aur maine gusse me us se kaha.
Mai bola “tujhe un logo ko bhi apne sath shamil karne ki, kya jarurat thi. Kya tujhe mere sath akele chalne me koi pareshani thi. Jo un sabko bhi apne pichhe laga liya.”
Keerti boli “maine unhe apne sath aane ko nahi kaha hai. Wo to raj, nitika aur riya ko dinner karane le ja raha tha. Usne nitika se kaha ki, hum dono se bhi puchh le ki, hum uske sath shamil ho sakte hai ya nahi. Ab hum to pahle se hi ja rahe the, isliye maine us se haan kah diya. Ab sath dinner karne me kaun si buri baat hai. Do se bhale panch. Jyada log rahege to khane ka maja bhi duguna ho jayega.”
Magar unko sath dekh kar, mera mood sahi nahi tha. Isliye gusse me keerti se kaha.
Mai bola “tujhe jana hai to tu ja, magar mai nahi jauga.”
Keerti boli “are jab tu nahi jayega to fir mai jakar kya karugi aur ye bahar jane ka idea bhi to tera hi tha.”
Mai bola “haan, bahar khana khane ka mera idea tha. Magar mai sirf tere sath jana chahta tha. Lekin tune isme un logo ko shamil karke, mera saara mood kharab kar diya hai. Isliye ab tu hi unke sath ja. Mai un logon ke sath nahi jaunga to, matalb nahi jauga.”
Meri baat sunkar, keerti udas ho gayi aur udasi bhare swar me kahne lagi.
Keerti boli “mai teri khushi ke liye tera diya hua suit pahan sakti hu. Lekin tu meri khushi ke liye, jara sa sabke sath dinner karne nahi ja sakta. Thik hai, agar tujhe nahi jana to, mai bhi nahi jaugi. Mai abhi phone karke nitika ko mana kar deti hu.”
Ye kahkar keerti apne mobile se nitika ko phone lagane lagti hai. Keerti ka kahna sahi tha aur mai aaj ke din use udas bhi karna nahi chahta tha. Isliye maine use call lagane se rokte huye kaha.
Mai bola “un logo ko mana karne ki, koi jarurat nahi hai. Mai tere sath chalta hu. Lekin meri ek baat kaan khol kar sun le. Yadi us kamine raj ne teri taraf, fir apni gandi najron se dekha to, mai wahi sabke samne uski aankh fod duga.”
Keerti boli “thik hai, tu uski aankh bhi fod dena aur taang bhi tod dena. Magar abhi apna mood to sahi kar le.”
Mai bola “mera mood thik hai. Lekin tu apne ye kapde badal kar aa. Mujhe ye dress bilkul pasand nahi hai. Tu jakar subah wala salwar suit hi pahan le.”
Keerti kuch bolna chah rahi thi. Magar mera mood kharab dekh kar, bina kuch bole chali gayi. Shayad wo yahi puchna chahti hogi ki, abhi to mai uski tarif kar raha tha, fir achanak mujhe uska ye dress kharab kyo lagne laga.
Uska ye sochna galat nahi tha. Wo dress sach me us par acha lag raha tha. Lekin mai nahi chahta tha ki, raj use is dress me dekhe. Isliye maine dress badal lene ko kaha tha.
Thodi hi der me keerti mere diya hua salwar suit pahan kar wapas aa gayi. Maine bhi apna mood sahi karte huye us se puchha.
Mai bola “wo log kitne baje aa rahe hai.”