Meri baat sunte hi ami khush ho gayi aur fauran mere gale se lag gayi. Lekin ye baat sunte hi nimi mujhe gusse me dekhne lagi. Maine uski taraf dekha to, muskurate huye kaha.
Mai bola “ab tu kyo mujhe ghoor rahi hai. Kya tujhe humare sath picnic par nahi jana hai.
Meri baat sunkar nimi ke chehre par bhi muskurahat aa gayi aur wo daudte huye mere pas aakar, mere gale se lag gayi. Fir usne ye baat chhoti maa ko batane ki baat boli aur ami ko apne sath lekar chhoti maa ke pas chali gayi.
Unke jaane ke bad, maine muskurate huye keerti ki taraf dekha. Lekin ab keerti ka chehra utra hua tha. Uska utra hua chehra dekh kar, mujhe ye samajhte der nahi lagi ki, ami nimi ko apne sath, le jane wali baat, keerti ko pasand nahi aayi hai.
Lekin ami nimi ko apne sath le jane wali baat par, keerti ka is tarah se apna chehra utar lena, mujhe jara bhi acha nahi laga aur mera picnic par jane ka saara mood kharab ho gaya.
Mai bola “chal ab us baat ko jane de. Tu mujhse naraj hai na, to aaj mai tujhe picnic par le chalta hu. Waha tu mere sath bahut maja kar lena. Ab to apna mood sahi kar le.”
Meri baat sunte hi ami khush ho gayi aur fauran mere gale se lag gayi. Lekin ye baat sunte hi nimi mujhe gusse me dekhne lagi. Maine uski taraf dekha to, muskurate huye kaha.
Mai bola “ab tu kyo mujhe ghoor rahi hai. Kya tujhe humare sath picnic par nahi jana hai.
Meri baat sunkar nimi ke chehre par bhi muskurahat aa gayi aur wo daudte huye mere pas aakar, mere gale se lag gayi. Fir usne ye baat chhoti maa ko batane ki baat boli aur ami ko apne sath lekar chhoti maa ke pas chali gayi.
Unke jaane ke bad, maine muskurate huye keerti ki taraf dekha. Lekin ab keerti ka chehra utra hua tha. Uska utra hua chehra dekh kar, mujhe ye samajhte der nahi lagi ki, ami nimi ko apne sath, le jane wali baat, keerti ko pasand nahi aayi hai.
Lekin ami nimi ko apne sath le jane wali baat par, keerti ka is tarah se apna chehra utar lena, mujhe jara bhi acha nahi laga aur mera picnic par jane ka saara mood kharab ho gaya.
Magar mai apni vajah se keerti ki picnic ko kharab karna nahi chahta tha. Isliye maine apne man ki baat ko, man me hi dabate huye keerti se kaha.
Mai bola “ab tujhe kya hua. Kya tujhe ami nimi ke picnic par jane se koi pareshani hai.”
Keerti boli “mujhe unke jane se koi pareshani nahi hai. Lekin tujhe ye sochna tha ki, ye picnic hamne bade bado ke liye rakhi hai. Pata nahi, waha kaun kya harkat karta hai. Kya aise me inko sath le jana sahi hai.”
Keerti ki is baat se mujhe, uske is tarah se chehra utar lene ka matlab samajh me aa gaya tha. Asal me use riya aur raj ki vajah se is baat ka dar sata raha tha ki, wo ami nimi ke samne koi ulti sidhi harkat na kar de. Uski ye baat samajh me aate hi, maine muskurate huye us se kaha.
Mai bola “tu fikar mat kar, jaisa tu soch rahi hai, waisa kuch bhi nahi hoga aur inki vajah se teri picnic bhi kharab nahi hogi. Is sabki jimmedari mai leta hu. Ab rahi inko sath le jane ki baat to, tu ye achi tarah se janti hai ki, mai inka utra hua chehra nahi dekh sakta.”
Keerti boli “ab jab tune inko chalne ke liye bol hi diya hai to, fir hum kamal ko bhi sath le chalte hai. Kam se kam wo inka dil to bahlaye rahega.”
Mai bola “haan ye thik rahega. Tu use abhi hi call kar de. Wo to picnic ke naam se bhaga chala aayega.”
Iske bad keerti ne sabse pahle nitika ko call karke picnic par chalne ka puchha. Nitika ne kaha ki wo raj, riya aur shilpa se baat karke abhi wapas call lagati hai. Nitika se baat hone ke bad, keerti ne kamal se picnic par chalne ki baat kahi to, wo fauran chalne ko taiyar ho gaya.
Kamal se baat hone ke fauran bad hi nitika ka call aa gaya aur usne bataya ki, sab picnic par chalne ko taiyar hai. Keerti ne us se kaha ki, hum log 10:30 baje tere ghar aa jayege. Tum log taiyar rahna.